kabhi the ham-safar rah-e-mohabbat mein KHuda aur hum
kabhī the ham-safar rāh-e-mohabbat meñ ḳhudā aur ham
ḳhudā ab āsmāñ par hai zamīñ par haiñ havā aur ham
ġhazal us ne mukammal hī na hone dī ki muddat se
bas ik she'r aur us ke naam kā ik qāfiya aur ham
ab itnī sharm hai tujh ko jo khul kar baat karne se
kareñge raat bhar bāteñ tire band-e-qabā aur ham
mohabbat chhoḌ kar tum jaao duniyā ke maze luuTo
samajh leñge bas aapas meñ mohabbat kī balā aur ham
vahī zaḳhmī badan hai aur vahī TuuTā huā dil hai
vahī us kī galī aur 'āshiqī kī ibtidā aur ham
use raunaq dikhā.eñ ham bhī apnī bevafā.ī kī
kisī mahfil meñ mil jaa.eñ agar vo bevafā aur ham
sab apne rū-barū haiñ guftugū kartā nahīñ koī
tumhārā aa.ina aur tum hamārā aa.ina aur ham
hamāre mai-kade meñ āḳhir-e-shab kā samāñ dekho
namāz-e-fajr hai aur haiñ nashe meñ dhut ḳhudā aur ham
kabhi the ham-safar rah-e-mohabbat mein KHuda aur hum
KHuda ab aasman par hai zamin par hain hawa aur hum
ghazal us ne mukammal hi na hone di ki muddat se
bas ek she'r aur us ke nam ka ek qafiya aur hum
ab itni sharm hai tujh ko jo khul kar baat karne se
karenge raat bhar baaten tere band-e-qaba aur hum
mohabbat chhoD kar tum jao duniya ke maze luTo
samajh lenge bas aapas mein mohabbat ki bala aur hum
wahi zaKHmi badan hai aur wahi TuTa hua dil hai
wahi us ki gali aur 'ashiqi ki ibtida aur hum
use raunaq dikhaen hum bhi apni bewafai ki
kisi mahfil mein mil jaen agar wo bewafa aur hum
sab apne ru-baru hain guftugu karta nahin koi
tumhaara aaina aur tum hamara aaina aur hum
hamare mai-kade mein aaKHir-e-shab ka saman dekho
namaz-e-fajr hai aur hain nashe mein dhut KHuda aur hum
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 62)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.