kabhi to aate wo baala-e-baam kah dena
kabhī to aate vo bālā-e-bām kah denā
kabhī to ham se bhī karte kalām kah denā
zamāna-sāzoñ se allāh bas bachā.e mujhe
ġhazab huā mirā itnā kalām kah denā
ye koī baat hai hañs hañs ke tanz se zālim
jo muñh meñ aa.e mujhe be-lagām kah denā
mazā to jab hai ki chupke se bhī na pī vaa.iz
hameñ bhī aatā hai jhaT se harām kah denā
lagā.e aas huuñ kab se maiñ nāma-bar ke liye
mile jo raah meñ merā salām kah denā
sabā karam ho ye 'dīvān' par ḳhudā ke liye
na kuchh sahī to faqat ik salām kah denā
kabhi to aate wo baala-e-baam kah dena
kabhi to hum se bhi karte kalam kah dena
zamana-sazon se allah bas bachae mujhe
ghazab hua mera itna kalam kah dena
ye koi baat hai hans hans ke tanz se zalim
jo munh mein aae mujhe be-lagam kah dena
maza to jab hai ki chupke se bhi na pi waiz
hamein bhi aata hai jhaT se haram kah dena
lagae aas hun kab se main nama-bar ke liye
mile jo rah mein mera salam kah dena
saba karam ho ye 'diwan' par KHuda ke liye
na kuchh sahi to faqat ek salam kah dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.