kabhi to dekh dard-e-dil kisi ka
kabhi to dekh dard-e-dil kisi ka
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf
kabhī to dekh dard-e-dil kisī kā
kabhī to haal sun ġhāfil kisī kā
sabā kar de mirī hājat-ravā.ī
uThā de parda-e-mahmil kisī kā
rahe nākām sab ai hazrat-e-ishq
huā kab mudda.ā hāsil kisī kā
shakeb-o-sabr phir jaatā rahā hai
huā hai phir ye dil maa.il kisī kā
kamar bāñdhī hai bedād-o-sitam par
tujhe kab paas hai qātil kisī kā
zamāna kyā burā aaya hai yā-rab
kisī ke haath meñ hai dil kisī kā
adā-o-nāz-o-shoḳhī se shab-e-vasl
bigaḌnā yaad hai ai dil kisī kā
tamāshā dekh lo tum bhī to aa kar
taḌaptā hai dil-e-bismil kisī kā
bañdhā rahtā hai terā hī tasavvur
bahaltā hai isī meñ dil kisī kā
pahuñch jaatā hai vo manzil ko ai 'lutf'
agar ustād ho kāmil kisī kā
kabhi to dekh dard-e-dil kisi ka
kabhi to haal sun ghafil kisi ka
saba kar de meri hajat-rawai
uTha de parda-e-mahmil kisi ka
rahe nakaam sab ai hazrat-e-ishq
hua kab muddaa hasil kisi ka
shakeb-o-sabr phir jata raha hai
hua hai phir ye dil mail kisi ka
kamar bandhi hai bedad-o-sitam par
tujhe kab pas hai qatil kisi ka
zamana kya bura aaya hai ya-rab
kisi ke hath mein hai dil kisi ka
ada-o-naz-o-shoKHi se shab-e-wasl
bigaDna yaad hai ai dil kisi ka
tamasha dekh lo tum bhi to aa kar
taDapta hai dil-e-bismil kisi ka
bandha rahta hai tera hi tasawwur
bahalta hai isi mein dil kisi ka
pahunch jata hai wo manzil ko ai 'lutf'
agar ustad ho kaamil kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.