kabhi to dekh le ek bar muskura ke mujhe
kabhī to dekh le ik baar muskurā ke mujhe
tujhe bhī dard to hogā kahīñ rulā ke mujhe
jo chal diye vo kabhī lauT kar nahīñ aate
payām aa.e haiñ jaatī huī sabā ke mujhe
maiñ sab ko chhoḌ ke bāhoñ meñ terī jī lūñgā
kabhī pukār le sab ranjisheñ bhulā ke mujhe
tamām 'umr basāyā usī ko āñkhoñ meñ
jo kho gayā thā kabhī ik jhalak dikhā ke mujhe
maiñ ḳhud ko laakh libādoñ meñ Dhāñp luuñ lekin
mire zamīr ne dekhā hai bin qabā ke mujhe
vo jis se naam mirā chhup ke tū ne likkhā thā
abhī bhī yaad haiñ sab rang us hinā ke mujhe
maiñ ek giit huuñ merā yahī muqaddar hai
tū bhuul jā.egā kuchh der gungunā ke mujhe
kabhi to dekh le ek bar muskura ke mujhe
tujhe bhi dard to hoga kahin rula ke mujhe
jo chal diye wo kabhi lauT kar nahin aate
payam aae hain jati hui saba ke mujhe
main sab ko chhoD ke bahon mein teri ji lunga
kabhi pukar le sab ranjishen bhula ke mujhe
tamam 'umr basaya usi ko aankhon mein
jo kho gaya tha kabhi ek jhalak dikha ke mujhe
main KHud ko lakh libaadon mein Dhanp lun lekin
mere zamir ne dekha hai bin qaba ke mujhe
wo jis se nam mera chhup ke tu ne likkha tha
abhi bhi yaad hain sab rang us hina ke mujhe
main ek git hun mera yahi muqaddar hai
tu bhul jaega kuchh der gunguna ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.