kabhi to is aab-o-hawa ko badal kar
kabhī to is āb-o-havā ko badal kar
mujhe dekh ḳhud se tū bāhar nikal kar
tamāshā nahīñ hai faqat terī duniyā
khulā bhed mujh par ye ghar se nikal kar
ye kam to nahīñ hai ki shahr-e-suḳhan tak
maiñ ḳhud apne pairoñ pe aayā huuñ chal kar
kahāñ dekhtā hai idhar ko udhar ko
ye uljhan hai terī ise ḳhud hī hal kar
zamīñ niklī jaatī hai pairoñ se mere
bahut chal rahā huuñ agarche sañbhal kar
badal jaa.e shāyad mizāj us kā 'ḳhāvar'
chalo dekhte haiñ ye mausam badal kar
kabhi to is aab-o-hawa ko badal kar
mujhe dekh KHud se tu bahar nikal kar
tamasha nahin hai faqat teri duniya
khula bhed mujh par ye ghar se nikal kar
ye kam to nahin hai ki shahr-e-suKHan tak
main KHud apne pairon pe aaya hun chal kar
kahan dekhta hai idhar ko udhar ko
ye uljhan hai teri ise KHud hi hal kar
zamin nikli jati hai pairon se mere
bahut chal raha hun agarche sanbhal kar
badal jae shayad mizaj us ka 'KHawar'
chalo dekhte hain ye mausam badal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.