kabhi to is par bhi ghaur kije ki dil KHushi-na-shanas kyon hain
kabhi to is par bhi ghaur kije ki dil KHushi-na-shanas kyon hain
Shayar Jamali
MORE BYShayar Jamali
kabhī to is par bhī ġhaur kiije ki dil ḳhushī-nā-shanās kyoñ haiñ
ye andalībān-e-ḳhush-navā sab ḳhamosh kyoñ haiñ udaas kyoñ haiñ
maiñ mustahiq thā mirā nasheman jalāyā jaa.e so jal chukā hai
savāl ye hai ki ahl-e-gulshan ḳhafīf kyoñ bad-havās kyoñ haiñ
na raah mushkil na duur manzil magar mire rāhbar batā de
tirī qayādat meñ chalne vaale ba-qaid-e-ḳhauf-o-hirās kyoñ haiñ
huā thā jab iḳhtitām-e-mahfil nazar ye saaqī kī kah rahī thī
hai kam-shanāsī kā jin ko shikva vo log ḳhud kam-shanās kyoñ haiñ
jo apne tār-e-nafas se bun kar zamāne bhar ko libās baḳhsheñ
vo jism har zāviye se ghāyal vo jism ḳhud be-libās kyoñ haiñ
kabhi to is par bhi ghaur kije ki dil KHushi-na-shanas kyon hain
ye andaliban-e-KHush-nawa sab KHamosh kyon hain udas kyon hain
main mustahiq tha mera nasheman jalaya jae so jal chuka hai
sawal ye hai ki ahl-e-gulshan KHafif kyon bad-hawas kyon hain
na rah mushkil na dur manzil magar mere rahbar bata de
teri qayaadat mein chalne wale ba-qaid-e-KHauf-o-hiras kyon hain
hua tha jab iKHtitam-e-mahfil nazar ye saqi ki kah rahi thi
hai kam-shanasi ka jin ko shikwa wo log KHud kam-shanas kyon hain
jo apne tar-e-nafas se bun kar zamane bhar ko libas baKHshen
wo jism har zawiye se ghayal wo jism KHud be-libas kyon hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.