kabhi to zehn mein aakar nikal gae alfaz
kabhī to zehn meñ aakar nikal ga.e alfāz
kabhī ḳhud aap hī sheroñ meñ Dhal ga.e alfāz
jinheñ samajhtā thā taḳh.īl ke muāvin haiñ
qarīb aa ke vahī ab badal ga.e alfāz
na jaane kaun sī maiñ baat kahne vaalā thā
nazar kisī pe paḌī to sañbhal ga.e alfāz
ye sach hai phande vahī aadmī ke bante haiñ
ġhalat jo us kī zabāñ se nikal ga.e alfāz
tumhāre shahr meñ jo kuchh bhī maiñ ne dekhā hai
bayān karne meñ un ko dahal ga.e alfāz
sunegā kaun sunā.egā kaun ab un ko
ki sab ke saath hī sho.aloñ meñ jal ga.e alfāz
ġhazal sunā.ī hai pur-soz 'tāj' ne aisī
ki aaj āñkhoñ meñ un kī pighal ga.e alfāz
kabhi to zehn mein aakar nikal gae alfaz
kabhi KHud aap hi sheron mein Dhal gae alfaz
jinhen samajhta tha taKHil ke muawin hain
qarib aa ke wahi ab badal gae alfaz
na jaane kaun si main baat kahne wala tha
nazar kisi pe paDi to sanbhal gae alfaz
ye sach hai phande wahi aadmi ke bante hain
ghalat jo us ki zaban se nikal gae alfaz
tumhaare shahr mein jo kuchh bhi main ne dekha hai
bayan karne mein un ko dahal gae alfaz
sunega kaun sunaega kaun ab un ko
ki sab ke sath hi shoalon mein jal gae alfaz
ghazal sunai hai pur-soz 'taj' ne aisi
ki aaj aankhon mein un ki pighal gae alfaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.