kabhi tumhaara mera samna nahin hota
kabhī tumhārā mirā sāmnā nahīñ hotā
vagarna shahr meñ har roz kyā nahīñ hotā
badan se ruuh kā Tāñkā udhaḌ rahā hai magar
vo ek shaḳhs hī mujh se judā nahīñ hotā
tamām log taraste haiñ raushnī ke liye
magar nasīb meñ sab ke diyā nahīñ hotā
ka.ī ke haath jalāne meñ bhī jale hoñge
har ek aag bujhā kar jalā nahīñ hotā
faqīr piir valī sādhū sant sā insān
'azīm hotā hai lekin ḳhudā nahīñ hotā
kabhi tumhaara mera samna nahin hota
wagarna shahr mein har roz kya nahin hota
badan se ruh ka Tanka udhaD raha hai magar
wo ek shaKHs hi mujh se juda nahin hota
tamam log taraste hain raushni ke liye
magar nasib mein sab ke diya nahin hota
kai ke hath jalane mein bhi jale honge
har ek aag bujha kar jala nahin hota
faqir pir wali sadhu sant sa insan
'azim hota hai lekin KHuda nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.