kabhi uruj kabhi wo zawal deta hai
kabhī uruuj kabhī vo zavāl detā hai
koī to hai jo falak par uchhāl detā hai
vahī to sang-tarāshoñ kā dast-e-pinhāñ hai
vahī to siip se motī nikāl detā hai
azaab lagne lage jab hayāt tab bhī vahī
fishār-e-zīst se aa kar nikāl detā hai
usī pe mujh ko bharosa hai dekhiye kyā ho
jo roz ik nayā fitna uchhāl detā hai
nafas nafas pe mire iḳhtiyār hai jis kā
vo mujh ko hijr bhī misl-e-visāl detā hai
tum us kā dā.era-e-iḳhtiyār kyā jaano
vo pattharoñ se bhī aañsū nikāl detā hai
kabhi uruj kabhi wo zawal deta hai
koi to hai jo falak par uchhaal deta hai
wahi to sang-tarashon ka dast-e-pinhan hai
wahi to sip se moti nikal deta hai
azab lagne lage jab hayat tab bhi wahi
fishaar-e-zist se aa kar nikal deta hai
usi pe mujh ko bharosa hai dekhiye kya ho
jo roz ek naya fitna uchhaal deta hai
nafas nafas pe mere iKHtiyar hai jis ka
wo mujh ko hijr bhi misl-e-visal deta hai
tum us ka daera-e-iKHtiyar kya jaano
wo pattharon se bhi aansu nikal deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.