kabhi wajud ka chakkar kabhi adam ka sawal
kabhī vajūd kā chakkar kabhī adam kā savāl
guzar rahe haiñ isī soch meñ mire mah-o-sāl
tamām raat muqaddar meñ us ke jalnā thā
ki apnā dil bhī yahāñ thā kisī diye kī misāl
vo raushnī jo kabhī mere ghar ko aa.ī thī
vo maah thā ki koī aur hī thā māh-misāl
maiñ tishna-kām bahut ho gayā huuñ ai dariyā
tū apne aap ko ab is taraf bhī lā ke uchhāl
hameñ bhī ishq ke chakkar meñ ab nahīñ paḌnā
ki ab pasand nahīñ hai hameñ koī janjāl
kabhi wajud ka chakkar kabhi adam ka sawal
guzar rahe hain isi soch mein mere mah-o-sal
tamam raat muqaddar mein us ke jalna tha
ki apna dil bhi yahan tha kisi diye ki misal
wo raushni jo kabhi mere ghar ko aai thi
wo mah tha ki koi aur hi tha mah-misal
main tishna-kaam bahut ho gaya hun ai dariya
tu apne aap ko ab is taraf bhi la ke uchhaal
hamein bhi ishq ke chakkar mein ab nahin paDna
ki ab pasand nahin hai hamein koi janjal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.