kabhi wo dost kabhi fitna-saz lagta hai
kabhī vo dost kabhī fitna-sāz lagtā hai
vo dekhne meñ baḌā dil-navāz lagtā hai
ġhazab meñ aa.e to ātish mizāj ban jaa.e
vo mehrbāñ ho to mahfil-gudāz lagtā hai
jahāñ kā dard bharā hai mizāj meñ us ke
vo ek ham se faqat be-niyāz lagtā hai
vo toḌtā bhī hai dil ik adā-e-nāz ke saath
sitamgarī meñ bhī vo chārasāz lagtā hai
jafā.eñ us kī vo maqbūl-e-ām haiñ itnī
hamārā shikva bahut be-javāz lagtā hai
maiñ sar-ba-sajda huā us ke dar pe to pūchhā
ye kaun shaḳhs hai mahv-e-namāz lagtā hai
mirī fuġhāñ pe ba-andāz-e-dād us ne kahā
tumhārā sher bahut dil-gudāz lagtā hai
kabhi wo dost kabhi fitna-saz lagta hai
wo dekhne mein baDa dil-nawaz lagta hai
ghazab mein aae to aatish mizaj ban jae
wo mehrban ho to mahfil-gudaz lagta hai
jahan ka dard bhara hai mizaj mein us ke
wo ek hum se faqat be-niyaz lagta hai
wo toDta bhi hai dil ek ada-e-naz ke sath
sitamgari mein bhi wo chaarasaz lagta hai
jafaen us ki wo maqbul-e-am hain itni
hamara shikwa bahut be-jawaz lagta hai
main sar-ba-sajda hua us ke dar pe to puchha
ye kaun shaKHs hai mahw-e-namaz lagta hai
meri fughan pe ba-andaz-e-dad us ne kaha
tumhaara sher bahut dil-gudaz lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.