kabhi wo sunega kahani hamari
kabhī vo sunegā kahānī hamārī
ki guzrī hai kaise javānī hamārī
ga.e the nishānī yahāñ chhoḌ kar ham
kahāñ hai bhalā vo nishānī hamārī
milā tak nahīñ pā rahī hai nazar vo
huī thī kabhī vo divānī hamārī
bachā kar rakhī hai baḌe hī dinoñ se
usī dil meñ yādeñ purānī hamārī
pata tab chalā jab guzarne lage din
bahut kam bachī zindagānī hamārī
yahāñ mushkiloñ se ghire hī rahoge
agar baat tum ne na maanī hamārī
kabhi wo sunega kahani hamari
ki guzri hai kaise jawani hamari
gae the nishani yahan chhoD kar hum
kahan hai bhala wo nishani hamari
mila tak nahin pa rahi hai nazar wo
hui thi kabhi wo diwani hamari
bacha kar rakhi hai baDe hi dinon se
usi dil mein yaaden purani hamari
pata tab chala jab guzarne lage din
bahut kam bachi zindagani hamari
yahan mushkilon se ghire hi rahoge
agar baat tum ne na mani hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.