kabhi yaqin ki duniya mein jo gae sapne
kabhī yaqīn kī duniyā meñ jo ga.e sapne
udāsiyoñ ke samundar meñ kho ga.e sapne
baras rahī thī haqīqat kī dhuup ghar bāhar
sahm ke aañkh ke āñchal meñ kho ga.e sapne
kabhī uḌā ke mujhe āsmān tak laa.e
kabhī sharāb meñ mujh ko Dubo ga.e sapne
hamīñ the niiñd meñ jo un ko sā.ebāñ samjhā
khulī jo aañkh to dāman bhigo ga.e sapne
khulī rahī jo mirī aañkh mere marne par
sadā sadā ke liye aaj kho ga.e sapne
kabhi yaqin ki duniya mein jo gae sapne
udasiyon ke samundar mein kho gae sapne
baras rahi thi haqiqat ki dhup ghar bahar
sahm ke aankh ke aanchal mein kho gae sapne
kabhi uDa ke mujhe aasman tak lae
kabhi sharab mein mujh ko Dubo gae sapne
hamin the nind mein jo un ko saeban samjha
khuli jo aankh to daman bhigo gae sapne
khuli rahi jo meri aankh mere marne par
sada sada ke liye aaj kho gae sapne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.