kabhi zamin kabhi aasman se guzri hai
kabhī zamīn kabhī āsmāñ se guzrī hai
mirī hayāt baḌe imtihāñ se guzrī hai
ḳhushī kī dhuup mayassar na ho sakī mujh ko
ġhamoñ kī āñdhī mirī dāstāñ se guzrī hai
batā.ūñ kyā maiñ tumheñ zindagī ke baare meñ
mirī har ek shab ashk-e-ravāñ se guzrī hai
kisī ke hijr meñ barbād dāstān-e-hayāt
ġhazal kī shakl meñ saare jahāñ se guzrī hai
tumhāre hijr meñ āñkheñ rahī haiñ nam har pal
mirī zabān bhī āh-o-fuġhāñ se guzrī hai
dhaḌakne lag gayā tezī se dil kabhī jab bhī
tumhārī yaad dil-e-āshiyāñ se guzrī hai
har ek samt se aatī hai pyaar kī ḳhushbū
zabān 'mīr' kī shāyad yahāñ se guzrī hai
har ek phuul ko murjhā ga.ī 'alī-afzal'
na jaane kaisī havā gulsitāñ se guzrī hai
nabī ke diin kī 'azmat ke vāste 'afzal'
tamām nasl-e-alī imtihāñ se guzrī hai
kabhi zamin kabhi aasman se guzri hai
meri hayat baDe imtihan se guzri hai
KHushi ki dhup mayassar na ho saki mujh ko
ghamon ki aandhi meri dastan se guzri hai
bataun kya main tumhein zindagi ke bare mein
meri har ek shab ashk-e-rawan se guzri hai
kisi ke hijr mein barbaad dastan-e-hayat
ghazal ki shakl mein sare jahan se guzri hai
tumhaare hijr mein aankhen rahi hain nam har pal
meri zaban bhi aah-o-fughan se guzri hai
dhaDakne lag gaya tezi se dil kabhi jab bhi
tumhaari yaad dil-e-ashiyan se guzri hai
har ek samt se aati hai pyar ki KHushbu
zaban 'mir' ki shayad yahan se guzri hai
har ek phul ko murjha gai 'ali-afzal'
na jaane kaisi hawa gulsitan se guzri hai
nabi ke din ki 'azmat ke waste 'afzal'
tamam nasl-e-ali imtihan se guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.