kabhi zamin kabhi aasman se laDta hai
kabhī zamīn kabhī āsmāñ se laḌtā hai
ajiib shaḳhs hai saare jahāñ se laḌtā hai
kisī ke ishq kī mannat kā tel hai us meñ
isī liye to diyā āstāñ se laḌtā hai
hameñ ye bāñjh bahū be-nishān kar degī
ye baat kah ke vo beTe kī maañ se laḌtā hai
kirāye-dār kī niiñd is qadar pareshāñ hai
vo roz ḳhvāb meñ mālik makāñ se laḌtā hai
ye kis ke qarz kā hai bojh merī mayyat par
ye kaun hai jo mire ḳhāndāñ se laḌtā hai
duā hai ḳhair ho us ghar kī jis meñ ro ro kar
koī buzurg kisī naujavāñ se laḌtā hai
bas ek ḳhaas nishānī hai mere madfan kī
ki is makāñ meñ koī lā-makāñ se laḌtā hai
baḌe yaqīn se kuchh be-yaqīn māñgte haiñ
vo ik yaqīn jo vahm-o-gumāñ se laḌtā hai
azaan detā huuñ jab maiñ suḳhan kī masjid meñ
har ek be-navā merī azaañ se laḌtā hai
maiñ apne ahd kā 'vāsif' huuñ aur shā.ir huuñ
zamāna kis liye mujh nā-tavāñ se laḌtā hai
kabhi zamin kabhi aasman se laDta hai
ajib shaKHs hai sare jahan se laDta hai
kisi ke ishq ki mannat ka tel hai us mein
isi liye to diya aastan se laDta hai
hamein ye banjh bahu be-nishan kar degi
ye baat kah ke wo beTe ki man se laDta hai
kiraye-dar ki nind is qadar pareshan hai
wo roz KHwab mein malik makan se laDta hai
ye kis ke qarz ka hai bojh meri mayyat par
ye kaun hai jo mere KHandan se laDta hai
dua hai KHair ho us ghar ki jis mein ro ro kar
koi buzurg kisi naujawan se laDta hai
bas ek KHas nishani hai mere madfan ki
ki is makan mein koi la-makan se laDta hai
baDe yaqin se kuchh be-yaqin mangte hain
wo ek yaqin jo wahm-o-guman se laDta hai
azan deta hun jab main suKHan ki masjid mein
har ek be-nawa meri azan se laDta hai
main apne ahd ka 'wasif' hun aur shair hun
zamana kis liye mujh na-tawan se laDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.