kabhi zamin to kabhi aasman ki zad mein hun
kabhī zamīñ to kabhī āsmāñ kī zad meñ huuñ
nafas nafas maiñ 'ajab imtihāñ kī zad meñ huuñ
ye āgahī mire haq meñ 'azāb-e-jāñ Thahrī
'ajīb dhun hai ki har dam ziyāñ kī zad meñ huuñ
na jaane kyoñ mujhe har vaqt aisā lagtā hai
maiñ munharif huuñ magar raftagāñ kī zad meñ huuñ
vo dāstāñ jo mukammal bhī hai adhūrī bhī
maiñ lamha lamha usī dāstāñ kī zad meñ huuñ
maiñ apne aap ko paane kī justujū meñ 'riyāz'
makāñ kī had se pare lā-makāñ kī zad meñ huuñ
kabhi zamin to kabhi aasman ki zad mein hun
nafas nafas main 'ajab imtihan ki zad mein hun
ye aagahi mere haq mein 'azab-e-jaan Thahri
'ajib dhun hai ki har dam ziyan ki zad mein hun
na jaane kyon mujhe har waqt aisa lagta hai
main munharif hun magar raftagan ki zad mein hun
wo dastan jo mukammal bhi hai adhuri bhi
main lamha lamha usi dastan ki zad mein hun
main apne aap ko pane ki justuju mein 'riyaz'
makan ki had se pare la-makan ki zad mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.