kabhi zamin to kabhi aasman se guzri hai
kabhi zamin to kabhi aasman se guzri hai
Ustad Vajahat Husain Khan
MORE BYUstad Vajahat Husain Khan
kabhī zamīñ to kabhī āsmāñ se guzrī hai
du'ā jo ho ke tire āstāñ se guzrī hai
huā hai bārgah-e-kul pe rahmatoñ kā nuzūl
mire huzūr kī hastī jahāñ se guzrī hai
huī hai band har ik bad-nigāhī taale meñ
hijāb meñ koī laḌkī yahāñ se guzrī hai
vo aa.e bazm meñ aise ki yuuñ lagā mujh ko
nasīm-e-sub.h kisī gulsitāñ se guzrī hai
sukūn kaise mayassar ho tere 'āshiq ko
ki terī yaad dil-e-nā-tavāñ se guzrī hai
vo nuur chhantā rahā jis kī raushnī ai dil
kabhī makāñ to kabhī lā-makāñ se guzrī hai
har us maqām pe raushan thiiñ mash'aleñ 'dā.em'
junūn-e-shauq meñ hastī jahāñ se guzrī hai
kabhi zamin to kabhi aasman se guzri hai
du'a jo ho ke tere aastan se guzri hai
hua hai bargah-e-kul pe rahmaton ka nuzul
mere huzur ki hasti jahan se guzri hai
hui hai band har ek bad-nigahi tale mein
hijab mein koi laDki yahan se guzri hai
wo aae bazm mein aise ki yun laga mujh ko
nasim-e-subh kisi gulsitan se guzri hai
sukun kaise mayassar ho tere 'ashiq ko
ki teri yaad dil-e-na-tawan se guzri hai
wo nur chhanta raha jis ki raushni ai dil
kabhi makan to kabhi la-makan se guzri hai
har us maqam pe raushan thin mash'alen 'daem'
junun-e-shauq mein hasti jahan se guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.