kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein
kabhī ziyāda kabhī kam rahā hai āñkhoñ meñ
ik intizār kā mausam rahā hai āñkhoñ meñ
kabhī hai ḳhushk kabhī nam rahā hai āñkhoñ meñ
Thahar Thahar ke ye zamzam rahā hai āñkhoñ meñ
basā huā hai tasavvur meñ ik hasīñ paikar
koī ḳhayāl mujassam rahā hai āñkhoñ meñ
nazar ke sāmne aa.ī haiñ kitnī tasvīreñ
usī kā 'aks magar ram rahā hai āñkhoñ meñ
vo qurbatoñ kā tasavvur vo lams kā jaadū
sadā-bahār ye mausam rahā hai āñkhoñ meñ
ulajh ke rah ga.e nīñdoñ ke ḳhvāb palkoñ par
koī ḳhayāl yuuñ paiham rahā hai āñkhoñ meñ
lab-e-ḳhamosh pe 'mīnā' hai nauha-e-hijrāñ
darūn-e-zāt ye mātam rahā hai āñkhoñ meñ
kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein
ek intizar ka mausam raha hai aankhon mein
kabhi hai KHushk kabhi nam raha hai aankhon mein
Thahar Thahar ke ye zamzam raha hai aankhon mein
basa hua hai tasawwur mein ek hasin paikar
koi KHayal mujassam raha hai aankhon mein
nazar ke samne aai hain kitni taswiren
usi ka 'aks magar ram raha hai aankhon mein
wo qurbaton ka tasawwur wo lams ka jadu
sada-bahaar ye mausam raha hai aankhon mein
ulajh ke rah gae nindon ke KHwab palkon par
koi KHayal yun paiham raha hai aankhon mein
lab-e-KHamosh pe 'mina' hai nauha-e-hijran
darun-e-zat ye matam raha hai aankhon mein
- Book : Jagti Aakhen (Pg. 56)
- Author : Dr. Meena Naqvi
- Publication : Aiwan-e-Adab Publishers, Delhi- (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.