kabutar jis taraf se aa raha hai
kabūtar jis taraf se aa rahā hai
udhar tīroñ kā lashkar jā rahā hai
badan kirnoñ kā mailā ho na jaa.e
fazā meñ vo dhuāñ phailā rahā hai
hamāre kal ko mahkānā hai us ne
magar vo phuul to murjhā rahā hai
ye merī laash ko sāhil pe rakh kar
samundar kis taraf ko jā rahā hai
maiñ kho jaatā kahīñ zulmat meñ lekin
mujhe rasta koī dikhlā rahā hai
nahīñ pīchhe bhī muḌ ke maiñ ne dekhā
ye merā jism kyuuñ pathrā rahā hai
koī ziina to paañv meñ hai 'ḳhāvar'
jo is tezī se uupar jā rahā hai
kabutar jis taraf se aa raha hai
udhar tiron ka lashkar ja raha hai
badan kirnon ka maila ho na jae
faza mein wo dhuan phaila raha hai
hamare kal ko mahkana hai us ne
magar wo phul to murjha raha hai
ye meri lash ko sahil pe rakh kar
samundar kis taraf ko ja raha hai
main kho jata kahin zulmat mein lekin
mujhe rasta koi dikhla raha hai
nahin pichhe bhi muD ke main ne dekha
ye mera jism kyun pathra raha hai
koi zina to panw mein hai 'KHawar'
jo is tezi se upar ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.