kaDa tha waqt zamane ko aazmate kya
kaḌā thā vaqt zamāne ko āzmāte kyā
nahīñ thā tel charāġhoñ meñ ham jalāte kyā
hamāre saath zamāne ke log aate kyā
bujhe diye haiñ unheñ rāsta dikhāte kyā
nahīñ thī jins-e-vafā jin ke paas aate kyā
mire nagar meñ vo aa kar sadā lagāte kyā
shikasta par haiñ to jakḌā hai vaqt ne ham ko
havā ke dosh pe hote to haath aate kyā
bahut se log hameñ paḌh rahe the ai 'sīrat'
khulī kitāb the lekin samajh meñ aate kyā
kaDa tha waqt zamane ko aazmate kya
nahin tha tel charaghon mein hum jalate kya
hamare sath zamane ke log aate kya
bujhe diye hain unhen rasta dikhate kya
nahin thi jins-e-wafa jin ke pas aate kya
mere nagar mein wo aa kar sada lagate kya
shikasta par hain to jakDa hai waqt ne hum ko
hawa ke dosh pe hote to hath aate kya
bahut se log hamein paDh rahe the ai 'sirat'
khuli kitab the lekin samajh mein aate kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.