kadam ki chhanw mein bansi baja raha hai koi
kadam ki chhanw mein bansi baja raha hai koi
Jagdish Sahay Saxena
MORE BYJagdish Sahay Saxena
kadam kī chhāñv meñ bansī bajā rahā hai koī
fazā-e-burj ko be-ḳhud banā rahā hai koī
taḌap rahī thiiñ jo maujeñ vo soī jaatī haiñ
zarūr sāhil-e-jamnā pe gā rahā hai koī
sukūt-e-shām meñ gaanā hai kis qadar pur-kaif
sharāb-e-nāb ke dariyā bahā rahā hai koī
sunā thā ruuh ne jannat meñ jo lab-e-kausar
vahī tarāna-e-dilkash sunā rahā hai koī
sadā jo kaan meñ aa.ī to gopiyāñ bolīñ
uTho uTho ki hamīñ ko bulā rahā hai koī
ġhazab kā soz ḳhudāyā hai nāla-e-nai meñ
dil-o-jigar ko hamāre jalā rahā hai koī
kahīñ taḌap hai ye naġhma kahīñ sukūn-o-qarār
jagā rahā hai koī yā sulā rahā hai koī
kadam ki chhanw mein bansi baja raha hai koi
faza-e-burj ko be-KHud bana raha hai koi
taDap rahi thin jo maujen wo soi jati hain
zarur sahil-e-jamna pe ga raha hai koi
sukut-e-sham mein gana hai kis qadar pur-kaif
sharab-e-nab ke dariya baha raha hai koi
suna tha ruh ne jannat mein jo lab-e-kausar
wahi tarana-e-dilkash suna raha hai koi
sada jo kan mein aai to gopiyan bolin
uTho uTho ki hamin ko bula raha hai koi
ghazab ka soz KHudaya hai nala-e-nai mein
dil-o-jigar ko hamare jala raha hai koi
kahin taDap hai ye naghma kahin sukun-o-qarar
jaga raha hai koi ya sula raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.