kaDi dhup ka safar hai koi saeban nahin hai
kaḌī dhuup kā safar hai koī sā.ebāñ nahīñ hai
rakhe sar pe haath aisā koī mehrbāñ nahīñ hai
mire us ke biich haa.il ka.ī parde haiñ ba-zāhir
magar asl meñ hamāre koī darmiyāñ nahīñ hai
maiñ ne vaqt ke varaq par kabhī likkhī thī kahānī
jise sun ke ro paḌe tum mirī dāstāñ nahīñ hai
mire lafz be-sadā haiñ mirī mahfileñ haiñ vīrāñ
mujhe lag rahā hai jaise mirā ham-zabāñ nahīñ hai
unhī dostoñ ne mil kar mire ghar ko phūñk Daalā
vo jo kah rahe the zad pe tirā āshiyāñ nahīñ hai
tū ne un ke hukm-e-shar pe na 'amal kiyā to sun le
ye zamīñ tirī nahīñ hai tirā āsmāñ nahīñ hai
tirā ġham jo muddatoñ se mire dil kī aabrū hai
mire āñsuoñ se vo bhī abhī bad-gumāñ nahīñ hai
kaDi dhup ka safar hai koi saeban nahin hai
rakhe sar pe hath aisa koi mehrban nahin hai
mere us ke bich hail kai parde hain ba-zahir
magar asl mein hamare koi darmiyan nahin hai
main ne waqt ke waraq par kabhi likkhi thi kahani
jise sun ke ro paDe tum meri dastan nahin hai
mere lafz be-sada hain meri mahfilen hain viran
mujhe lag raha hai jaise mera ham-zaban nahin hai
unhi doston ne mil kar mere ghar ko phunk Dala
wo jo kah rahe the zad pe tera aashiyan nahin hai
tu ne un ke hukm-e-shar pe na 'amal kiya to sun le
ye zamin teri nahin hai tera aasman nahin hai
tera gham jo muddaton se mere dil ki aabru hai
mere aansuon se wo bhi abhi bad-guman nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.