kaDi dhup mein saya-awar bahut hai
kaḌī dhuup meñ sāya-āvar bahut hai
mirī maañ kā āñchal hai sar par bahut hai
havas ke liye haiñ ye aivān thoḌe
qanā.at ko ik phuus kā ghar bahut hai
vo sūraj hai be-shak magar us ke aage
mirā honā zarra barābar bahut hai
muhāfiz hai jo kārvāñ kā hamāre
usī shaḳhs se to hameñ Dar bahut hai
mubārak ho kamḳhāb kā tum ko bistar
hameñ TaaT kī ek chādar bahut hai
ai īmān vaalo ye nashtar hai pinhāñ
ki ab ḳhair ke naam par shar bahut hai
'vafā' dil kī tishna-labī ke liye to
bas iḳhlās kā ek sāġhar bahut hai
kaDi dhup mein saya-awar bahut hai
meri man ka aanchal hai sar par bahut hai
hawas ke liye hain ye aiwan thoDe
qanaat ko ek phus ka ghar bahut hai
wo suraj hai be-shak magar us ke aage
mera hona zarra barabar bahut hai
muhafiz hai jo karwan ka hamare
usi shaKHs se to hamein Dar bahut hai
mubarak ho kamKHab ka tum ko bistar
hamein TaT ki ek chadar bahut hai
ai iman walo ye nashtar hai pinhan
ki ab KHair ke nam par shar bahut hai
'wafa' dil ki tishna-labi ke liye to
bas iKHlas ka ek saghar bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.