kaDi hai dhup magar saya-e-shajar hi nahin
kaDi hai dhup magar saya-e-shajar hi nahin
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
kaḌī hai dhuup magar sāya-e-shajar hī nahīñ
safar hai sāmne aur koī ham-safar hī nahīñ
tabāhiyoñ kā to sāmān kar liyā sab ne
tabāhiyoñ kī magar koī bhī ḳhabar hī nahīñ
jise bhī dekhiye mast-o-alast hai ḳhud meñ
koī bhī rahmat-e-yazdāñ kā muntazir hī nahīñ
tamām log ḳhudā-āshnā to haiñ lekin
ye aur baat hai sajdoñ meñ ab asar hī nahīñ
maiñ chāhtā huuñ fazāoñ meñ kar sakūñ parvāz
magar ai dost mire bāzuoñ meñ par hī nahīñ
kaDi hai dhup magar saya-e-shajar hi nahin
safar hai samne aur koi ham-safar hi nahin
tabahiyon ka to saman kar liya sab ne
tabahiyon ki magar koi bhi KHabar hi nahin
jise bhi dekhiye mast-o-alast hai KHud mein
koi bhi rahmat-e-yazdan ka muntazir hi nahin
tamam log KHuda-ashna to hain lekin
ye aur baat hai sajdon mein ab asar hi nahin
main chahta hun fazaon mein kar sakun parwaz
magar ai dost mere bazuon mein par hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.