kaDi thi dhup sar chakra raha tha
kaḌī thī dhuup sar chakrā rahā thā
maiñ bhūkā thā bahut ghabrā rahā thā
tumhārā shahr kyā thā kyā batā.ūñ
tamāsha har koī dikhlā rahā thā
the us ke haath meñ kashkol lekin
vo mehr-o-māh ko sharmā rahā thā
anā kā saañp maiñ ne maar Daalā
bahut nuqsān ye pahuñchā rahā thā
amīr-e-shahr se ye kaun pūchhe
sitam kyoñ muflisoñ par Dhā rahā thā
lage Thokar to ḳhud hī tum sambhal jaao
safar kā tajraba batlā rahā thā
akelī thī koī laḌkī saḌak par
badan jis kā mujhe lalchā rahā thā
ye kaisā ḳhvāb maiñ ne 'faiz' dekhā
samundar merī jānib aa rahā thā
kaDi thi dhup sar chakra raha tha
main bhuka tha bahut ghabra raha tha
tumhaara shahr kya tha kya bataun
tamasha har koi dikhla raha tha
the us ke hath mein kashkol lekin
wo mehr-o-mah ko sharma raha tha
ana ka sanp main ne mar Dala
bahut nuqsan ye pahuncha raha tha
amir-e-shahr se ye kaun puchhe
sitam kyon muflison par Dha raha tha
lage Thokar to KHud hi tum sambhal jao
safar ka tajraba batla raha tha
akeli thi koi laDki saDak par
badan jis ka mujhe lalcha raha tha
ye kaisa KHwab main ne 'faiz' dekha
samundar meri jaanib aa raha tha
- Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.