kaf-e-ghubar mein malbus mera paikar tha
kaf-e-ġhubār meñ malbūs merā paikar thā
ye sāneha to azal se mirā muqaddar thā
har ek samt se mujh par huī thī bārish-e-sang
zahe-nasīb maiñ apne makāñ ke andar thā
sukūt-e-shab meñ ye āvāz mujh ko dī kis ne
vo rāste kā musāfir thā yā ki rahbar thā
usī kā aks rahā aa.ine meñ jalva-fagan
vo apnī zaat kā shāyad ḳhud ā.ina-gar thā
tire jamāl se thī zindagī meñ ra.anā.ī
mire vajūd kā tū hī azal se mehvar thā
añdherī raat meñ saaya bhī saath de na sakā
nasheb-e-rāh meñ ḳhud hī maiñ apnā rahbar thā
mirī nazar meñ baresham thā silk pairāhan
guhar bhī mere liye rāste kā patthar thā
mire safar kī 'sabā' intihā yahī to nahīñ
qadam thā ret pe aur sāmne samundar thā
kaf-e-ghubar mein malbus mera paikar tha
ye saneha to azal se mera muqaddar tha
har ek samt se mujh par hui thi barish-e-sang
zahe-nasib main apne makan ke andar tha
sukut-e-shab mein ye aawaz mujh ko di kis ne
wo raste ka musafir tha ya ki rahbar tha
usi ka aks raha aaine mein jalwa-fagan
wo apni zat ka shayad KHud aaina-gar tha
tere jamal se thi zindagi mein ranai
mere wajud ka tu hi azal se mehwar tha
andheri raat mein saya bhi sath de na saka
nasheb-e-rah mein KHud hi main apna rahbar tha
meri nazar mein baresham tha silk pairahan
guhar bhi mere liye raste ka patthar tha
mere safar ki 'saba' intiha yahi to nahin
qadam tha ret pe aur samne samundar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.