kafan bandhe hue sar par yahan ahrar baiThe hain
kafan bāñdhe hue sar par yahāñ ahrār baiThe haiñ
jalā kar apne hāthoñ se ye sab ghar-bār baiThe haiñ
sabā to chheḌtī hai be-sabab is dil-shikasta ko
ki jī meñ ishq kā ham to liye āzār baiThe haiñ
anā mādūm hai un kī jo zillat mol lete haiñ
ki le kar apnī ismat ko sar-e-bāzār baiThe haiñ
zamāna ho gayā shātir 'irāqī' paas apnā rakh
jinheñ bachne kā fan aatā hai vo hushyār baiThe haiñ
kafan bandhe hue sar par yahan ahrar baiThe hain
jala kar apne hathon se ye sab ghar-bar baiThe hain
saba to chheDti hai be-sabab is dil-shikasta ko
ki ji mein ishq ka hum to liye aazar baiThe hain
ana madum hai un ki jo zillat mol lete hain
ki le kar apni ismat ko sar-e-bazar baiThe hain
zamana ho gaya shatir 'iraqi' pas apna rakh
jinhen bachne ka fan aata hai wo hushyar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.