kah chuka hun main kai bar nahin manta main
kah chukā huuñ maiñ ka.ī baar nahīñ māntā maiñ
ai sitamgar tujhe sardār nahīñ māntā maiñ
hai agar 'ishq to khul kar kabhī iz.hār bhī kar
terī ḳhāmoshī ko iqrār nahīñ māntā maiñ
āñkhoñ meñ jazb mujhe karnī hai sūrat terī
ik jhalak ko tirā dīdār nahīñ māntā maiñ
qadr-o-qīmat mire dil kī tū samajh hī na sakā
jā tujhe achchhā ḳharīdār nahīñ māntā maiñ
tū abhī qais hai majnūñ nahīñ ban paayā hai
tujh ko lailā kā talabgār nahīñ māntā maiñ
sar ko Takrāne kī jur.at ho to dar bantā hai
kisī dīvār ko dīvār nahīñ māntā maiñ
ḳhaak bhī chāhiye sahrā meñ uḌāne ke liye
kisī bhī chiiz ko bekār nahīñ māntā maiñ
jo kabhī myaan se bāhar nahīñ aatī hai 'kamāl'
aisī talvār ko talvār nahīñ māntā maiñ
kah chuka hun main kai bar nahin manta main
ai sitamgar tujhe sardar nahin manta main
hai agar 'ishq to khul kar kabhi izhaar bhi kar
teri KHamoshi ko iqrar nahin manta main
aankhon mein jazb mujhe karni hai surat teri
ek jhalak ko tera didar nahin manta main
qadr-o-qimat mere dil ki tu samajh hi na saka
ja tujhe achchha KHaridar nahin manta main
tu abhi qais hai majnun nahin ban paya hai
tujh ko laila ka talabgar nahin manta main
sar ko Takrane ki jurat ho to dar banta hai
kisi diwar ko diwar nahin manta main
KHak bhi chahiye sahra mein uDane ke liye
kisi bhi chiz ko bekar nahin manta main
jo kabhi myan se bahar nahin aati hai 'kamal'
aisi talwar ko talwar nahin manta main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.