kah Dale ghazlon nazmon mein afsane kya kya
kah Daale ġhazloñ nazmoñ meñ afsāne kyā kyā
dil meñ phir bhī dhaḌaktā rahtā hai jaane kyā kyā
daaġh ko chāñd aañsū ko motī zaḳhm ko phuul kaheñ
ham ko bhī andāz sikhā.e duniyā ne kyā kyā
chāñd aise chehroñ vaale haiñ chāñd itne hī duur
jin ke sapne dekhte haiñ ham dīvāne kyā kyā
sūkhe lab phīke ruḳhsār aur uljhe uljhe baal
shahroñ meñ bhī mil jaate haiñ vīrāne kyā kyā
kah Dale ghazlon nazmon mein afsane kya kya
dil mein phir bhi dhaDakta rahta hai jaane kya kya
dagh ko chand aansu ko moti zaKHm ko phul kahen
hum ko bhi andaz sikhae duniya ne kya kya
chand aise chehron wale hain chand itne hi dur
jin ke sapne dekhte hain hum diwane kya kya
sukhe lab phike ruKHsar aur uljhe uljhe baal
shahron mein bhi mil jate hain virane kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.