kah na saka main dil ki baat
kah na sakā maiñ dil kī baat
kaT ga.ī yūñhī saarī raat
sub.h ko āḳhir kyā hogā
bhiig chalī hai ġham kī raat
kah na sakā har ik se ġham
ye bhī hai āḳhir koī baat
dil kī kahānī kahtā chal
kaise kaTegī ġham kī raat
hone lagā hai dil bechain
aa ga.ī shāyad phir barsāt
dil kī umīdeñ ḳhatm huiiñ
āñkhoñ meñ kaaTī saarī raat
jis meñ vo hoñ mehmāñ mere
aisī bhī aa.e koī raat
dil kī kahānī band bhī kar
kaun sunegā dil kī baat
zo'm bahut thā us ko magar
khā gayā 'sāqib' ishq meñ maat
kah na saka main dil ki baat
kaT gai yunhi sari raat
subh ko aaKHir kya hoga
bhig chali hai gham ki raat
kah na saka har ek se gham
ye bhi hai aaKHir koi baat
dil ki kahani kahta chal
kaise kaTegi gham ki raat
hone laga hai dil bechain
aa gai shayad phir barsat
dil ki umiden KHatm huin
aankhon mein kaTi sari raat
jis mein wo hon mehman mere
aisi bhi aae koi raat
dil ki kahani band bhi kar
kaun sunega dil ki baat
zo'm bahut tha us ko magar
kha gaya 'saqib' ishq mein mat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.