kah raha tha kal ek diwana
kah rahā thā kal ek dīvāna
har haqīqat banegī afsāna
merī tauba kī sarguzisht na pūchh
TuuT kar ban ga.ī hai paimāna
hai haqīqat kahāñ ḳhudā jaane
ham bhī afsāna tum bhī afsāna
mujh ko samjhā rahā hai yuuñ nāseh
jaise maiñ aql se huuñ begāna
ik fasāna hai har haqīqat kā
har haqīqat hai ek afsāna
aql koī kahāñ talāsh kare
tum bhī dīvāne maiñ bhī dīvāna
dil kā raaz un pe khol de 'āsif'
ki ye iqdām hai dilerāna
kah raha tha kal ek diwana
har haqiqat banegi afsana
meri tauba ki sarguzisht na puchh
TuT kar ban gai hai paimana
hai haqiqat kahan KHuda jaane
hum bhi afsana tum bhi afsana
mujh ko samjha raha hai yun naseh
jaise main aql se hun begana
ek fasana hai har haqiqat ka
har haqiqat hai ek afsana
aql koi kahan talash kare
tum bhi diwane main bhi diwana
dil ka raaz un pe khol de 'asif'
ki ye iqdam hai dilerana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.