kah raha tha main zamana gosh-bar-awaz tha
kah rahā thā maiñ zamāna gosh-bar-āvāz thā
dil-shikan qisse kā kitnā dil-nashīñ andāz thā
uf vo daur-husn jab har lamha jān-e-nāz thā
kam-sinī jaane pe machlī thī shabāb āġhāz thā
ruḳhsat-e-fariyād par bhī maiñ sarāpā raaz thā
girya thā be-āb yaksar naala be-āvāz thā
lan-tarānī kī sadā kā garm ik andāz thā
jis ko muusā jalva samjhe sho.ala-e-āvāz thā
husn kī roz-e-azal hangāma-ārā.ī na pūchh
raaz thā ḳhud ḳhud amīn-e-rāz ḳhud ġhammāz thā
ek ik zarra meñ jalva ek ik jalva hijāb
faash ho jaane pe bhī rāz-e-haqīqat raaz thā
haa.e vo jaatā laḌakpan haa.e vo aatā shabāb
naaz meñ ik sādgī thī sādgī meñ naaz thā
tuur par bijlī zamīñ par gul falak par chāñdnī
muskurāne kā tire har jā nayā andāz thā
uḌ ke pahuñchī rūh-e-gulshan tan qafas meñ rah gayā
qaid hone par bhī maiñ kitnā subuk-parvāz thā
tāqat-e-parvāz ra.asha ban ke ruḳhsat ho ga.ī
āzim-e-parvāz phir bhī āzim-e-parvāz thā
kah raha tha main zamana gosh-bar-awaz tha
dil-shikan qisse ka kitna dil-nashin andaz tha
uf wo daur-husn jab har lamha jaan-e-naz tha
kam-sini jaane pe machli thi shabab aaghaz tha
ruKHsat-e-fariyaad par bhi main sarapa raaz tha
girya tha be-ab yaksar nala be-awaz tha
lan-tarani ki sada ka garm ek andaz tha
jis ko musa jalwa samjhe shoala-e-awaz tha
husn ki roz-e-azal hangama-arai na puchh
raaz tha KHud KHud amin-e-raaz KHud ghammaz tha
ek ek zarra mein jalwa ek ek jalwa hijab
fash ho jaane pe bhi raaz-e-haqiqat raaz tha
hae wo jata laDakpan hae wo aata shabab
naz mein ek sadgi thi sadgi mein naz tha
tur par bijli zamin par gul falak par chandni
muskurane ka tere har ja naya andaz tha
uD ke pahunchi ruh-e-gulshan tan qafas mein rah gaya
qaid hone par bhi main kitna subuk-parwaz tha
taqat-e-parwaz rasha ban ke ruKHsat ho gai
aazim-e-parwaz phir bhi aazim-e-parwaz tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.