kah raha tha yaad mein wo raat roya KHub hai
kah rahā thā yaad meñ vo raat royā ḳhuub hai
silvaTeñ kahtī haiñ mujh se tū bhī jhūTā ḳhuub hai
de rahā thā qasmeñ mujh ko sach kaho ham se zarā
sach jo ham ne kah diyā to yaar rūThā ḳhuub hai
ḳhvāb the ki the gharauñde kāñch ke merī tarah
ishq vaale pattharoñ se dil bhī TuuTā ḳhuub hai
merī qismat kī lakīroñ meñ mirā kuchh bhī nahīñ
log phir bhī kah rahe haiñ tum pe chhāyā ḳhuub hai
maut hī manzil hai apnī ishq to thā rāsta
dam-ba-dam is rāste pe dil bhī laayā ḳhuub hai
kah raha tha yaad mein wo raat roya KHub hai
silwaTen kahti hain mujh se tu bhi jhuTa KHub hai
de raha tha qasmen mujh ko sach kaho hum se zara
sach jo hum ne kah diya to yar ruTha KHub hai
KHwab the ki the gharaunde kanch ke meri tarah
ishq wale pattharon se dil bhi TuTa KHub hai
meri qismat ki lakiron mein mera kuchh bhi nahin
log phir bhi kah rahe hain tum pe chhaya KHub hai
maut hi manzil hai apni ishq to tha rasta
dam-ba-dam is raste pe dil bhi laya KHub hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.