kah rahi thi kitab phaT ke mujhe
kah rahī thī kitāb phaT ke mujhe
kyā milā 'mīr'-jī ko raT ke mujhe
shā.erī kārobār thī pahle
biis milte the das minute ke mujhe
maiñ jo palTā to maiñ ne ye dekhā
us ne dekhā hai phir palaT ke mujhe
sub.h tak ab tumheñ pighalnā hai
aag kahne lagī lipaT ke mujhe
aaj tak ruuh meñ namī sī hai
itnā roī thī vo lipaT ke mujhe
kah rahi thi kitab phaT ke mujhe
kya mila 'mir'-ji ko raT ke mujhe
shaeri karobar thi pahle
bis milte the das minute ke mujhe
main jo palTa to main ne ye dekha
us ne dekha hai phir palaT ke mujhe
subh tak ab tumhein pighalna hai
aag kahne lagi lipaT ke mujhe
aaj tak ruh mein nami si hai
itna roi thi wo lipaT ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.