kaha gaya na kabhi aur kabhi suna na gaya
kahā gayā na kabhī aur kabhī sunā na gayā
maiñ aisā harf huuñ jo aaj tak likhā na gayā
dabā ke hoñToñ meñ laa.ī thī mudda.ā kyā kyā
magar vo sāmne aayā to kuchh kahā na gayā
bichhaḌ ke tum se abhī tak bhaTak rahī huuñ maiñ
tumhāre ghar kī taraf koī rāsta na gayā
abhī bhī yaad hai tum ko hamāre haath kī chaa.e
ḳhudā kā shukr abhī tak vo zā.iqa na gayā
ka.ī mavāqe mirī zindagī meñ aa.e magar
kisī pe hañs liye itnā ki phir hañsā na gayā
maiñ apne chehre par āñkheñ talāsh kartī rahī
vo jab talak mujhe apnī jhalak dikhā na gayā
maiñ aate aate nishāne pe rah ga.ī 'raḳhshāñ'
ki ab ke baar bhī us kā ġhalat nishāna gayā
kaha gaya na kabhi aur kabhi suna na gaya
main aisa harf hun jo aaj tak likha na gaya
daba ke honTon mein lai thi muddaa kya kya
magar wo samne aaya to kuchh kaha na gaya
bichhaD ke tum se abhi tak bhaTak rahi hun main
tumhaare ghar ki taraf koi rasta na gaya
abhi bhi yaad hai tum ko hamare hath ki chae
KHuda ka shukr abhi tak wo zaiqa na gaya
kai mawaqe meri zindagi mein aae magar
kisi pe hans liye itna ki phir hansa na gaya
main apne chehre par aankhen talash karti rahi
wo jab talak mujhe apni jhalak dikha na gaya
main aate aate nishane pe rah gai 'raKHshan'
ki ab ke bar bhi us ka ghalat nishana gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.