kaha jo humne ki shaida-e-yar hum bhi hain
kaha jo humne ki shaida-e-yar hum bhi hain
Nawab Umrao Bahadur Diler
MORE BYNawab Umrao Bahadur Diler
kahā jo ham ne ki shaidā-e-yār ham bhī haiñ
to dil pukār uThā jāñ-nisār ham bhī haiñ
adū to lete hī haiñ bosa aap ke ruḳh ke
balā.eñ lene ke ummīd-vār ham bhī haiñ
kahā jigar ne jo dekhī ye dil kī betābi
hameñ bhī chain nahīñ be-qarār ham bhī haiñ
vo marne par mire ro.e to hūreñ bol uTThīñ
tumhīñ nahīñ ho faqat sogvār ham bhī haiñ
ishāra karte haiñ teġh-e-nigah se tīr-e-mizha
ki terā vaar to ho dil ke paar ham bhī haiñ
vo baa'd qatl ke dete haiñ mujh ko yuuñ taskīñ
ki ḳham hai teġh kā sar sharmsār ham bhī haiñ
kahā ye ābla-e-pā ne dasht-e-ġhurbat meñ
zarā ḳhayāl rahe nok-e-ḳhār ham bhī haiñ
idhar bhī sūrat-e-zāhid koī nigāh-e-karam
ki tere bandoñ meñ parvar-digār ham bhī haiñ
kaha jo hum ne ki shaida-e-yar hum bhi hain
to dil pukar uTha jaan-nisar hum bhi hain
adu to lete hi hain bosa aap ke ruKH ke
balaen lene ke ummid-war hum bhi hain
kaha jigar ne jo dekhi ye dil ki betabi
hamein bhi chain nahin be-qarar hum bhi hain
wo marne par mere roe to huren bol uTThin
tumhin nahin ho faqat sogwar hum bhi hain
ishaara karte hain tegh-e-nigah se tir-e-mizha
ki tera war to ho dil ke par hum bhi hain
wo ba'd qatl ke dete hain mujh ko yun taskin
ki KHam hai tegh ka sar sharmsar hum bhi hain
kaha ye aabla-e-pa ne dasht-e-ghurbat mein
zara KHayal rahe nok-e-KHar hum bhi hain
idhar bhi surat-e-zahid koi nigah-e-karam
ki tere bandon mein parwar-digar hum bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.