kaha kis ne hamesha pyar dena
kahā kis ne hamesha pyaar denā
kabhī to jaan kā āzār denā
kanīzoñ se akele meñ ye va.ade
mohabbat barsar-e-darbār denā
ye kyā yūñhī hamesha jiit jaao
kabhī ham ko juue meñ haar denā
mohabbat bhī tashaddud chāhtī hai
kabhī jhūTā tamāñcha maar denā
tumheñ jī jaan se chāhā hai ham ne
burā hai is tarah dhutkār denā
yahāñ aa.e haiñ mīloñ dhuup se ham
zarā sā sāya-e-dīvār denā
jahāñ jo chiiz chāheñ ham ḳharīdeñ
suhūlat kā khulā bāzār denā
hamārī jeb meñ sikke nahīñ haiñ
ḳhudā ham ko bhī tū dīnār denā
na jaane raat meñ kyā kuchh huā ho
hameñ tum sub.h kā aḳhbār denā
kaha kis ne hamesha pyar dena
kabhi to jaan ka aazar dena
kanizon se akele mein ye wade
mohabbat barsar-e-darbar dena
ye kya yunhi hamesha jit jao
kabhi hum ko jue mein haar dena
mohabbat bhi tashaddud chahti hai
kabhi jhuTa tamancha mar dena
tumhein ji jaan se chaha hai hum ne
bura hai is tarah dhutkar dena
yahan aae hain milon dhup se hum
zara sa saya-e-diwar dena
jahan jo chiz chahen hum KHariden
suhulat ka khula bazar dena
hamari jeb mein sikke nahin hain
KHuda hum ko bhi tu dinar dena
na jaane raat mein kya kuchh hua ho
hamein tum subh ka aKHbar dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.