kaha tha maine kya tu ne suna kya
kahā thā maiñ ne kyā tū ne sunā kyā
magar is baat kā tujh se gilā kyā
jo mere karb se ġhāfil rahā thā
usī ko ab kahūñ dard-āshnā kyā
yahī Thahrī hai kashtī Duub jaa.e
to aise meñ ḳhudā kyā nāḳhudā kyā
diloñ ke rābte baaqī haiñ jānāñ
to phir ye darmiyāñ kā fāsla kyā
galī-kūchoñ meñ sannāTā hai kaisā
'alī-vijdān' āshiq mar gayā kyā
kaha tha main ne kya tu ne suna kya
magar is baat ka tujh se gila kya
jo mere karb se ghafil raha tha
usi ko ab kahun dard-ashna kya
yahi Thahri hai kashti Dub jae
to aise mein KHuda kya naKHuda kya
dilon ke rabte baqi hain jaanan
to phir ye darmiyan ka fasla kya
gali-kuchon mein sannaTa hai kaisa
'ali-wijdan' aashiq mar gaya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.