kahan ai parda-nashin KHud ko chhupaya hua hai
kahāñ ai parda-nashīñ ḳhud ko chhupāyā huā hai
terā dīvāna tire shahr meñ aaya huā hai
terī tasvīr ne tasḳhīr kiyā hai dil ko
terā hī aks mire zehn pe chhāyā huā hai
dil hai saada ki samajh baiThā hai us ko ġham-ḳhvār
vo jo apne hī kisī kaam se aaya huā hai
apnī rāhoñ ko bhī zāhir nahīñ hone dete
ham ne manzil ko bhī duniyā se chhupāyā huā hai
ishq kī aag pe kāġhaz kī chalā kar kashtī
ek dīvāne ne duniyā ko hilāyā huā hai
un pe ye anfus-o-āfāq bhī qurbān 'hayāt'
markaz-e-ishq jinheñ ham ne banāyā huā hai
kahan ai parda-nashin KHud ko chhupaya hua hai
tera diwana tere shahr mein aaya hua hai
teri taswir ne tasKHir kiya hai dil ko
tera hi aks mere zehn pe chhaya hua hai
dil hai sada ki samajh baiTha hai us ko gham-KHwar
wo jo apne hi kisi kaam se aaya hua hai
apni rahon ko bhi zahir nahin hone dete
hum ne manzil ko bhi duniya se chhupaya hua hai
ishq ki aag pe kaghaz ki chala kar kashti
ek diwane ne duniya ko hilaya hua hai
un pe ye anfus-o-afaq bhi qurban 'hayat'
markaz-e-ishq jinhen hum ne banaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.