kahan bahaar ka mausam nashatiya Thahra
kahāñ bahār kā mausam nashātiya Thahrā
guloñ kī surḳh fasīloñ se fāsla Thahrā
laboñ kī taḳhtiyāñ tahrīr se tahī raheñgī
agar yuuñ soch ke likhne kā silsila Thahrā
bahut thakā thā fareb-e-jahān se lekin
tumhārī aañkh kā markaz bhī dā.era Thahrā
bikhar rahe the sabhī ashk mātamī ban kar
phir ek chauk meñ aate hī ta.aziya Thahrā
ye saarā mas.ala be-sūd intibāq se hai
kab irtiqā ke munāfī muāshra Thahrā
ham apnī umr ke ma.arūf vāqi.āt meñ se
jise samajh nahīñ paa.e vo mo.ajiza Thahrā
makāñ makīn pe us vaqt khul gayā 'azvar'
jab ik charāġh jalā aur tāqcha Thahrā
kahan bahaar ka mausam nashatiya Thahra
gulon ki surKH fasilon se fasla Thahra
labon ki taKHtiyan tahrir se tahi rahengi
agar yun soch ke likhne ka silsila Thahra
bahut thaka tha fareb-e-jahan se lekin
tumhaari aankh ka markaz bhi daera Thahra
bikhar rahe the sabhi ashk matami ban kar
phir ek chauk mein aate hi taziya Thahra
ye sara masala be-sud intibaq se hai
kab irtiqa ke munafi muashra Thahra
hum apni umr ke maruf waqiat mein se
jise samajh nahin pae wo moajiza Thahra
makan makin pe us waqt khul gaya 'azwar'
jab ek charagh jala aur taqcha Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.