kahan dariya ki tughyani se nikla
kahāñ dariyā kī tuġhyānī se niklā
ta.alluq ret kā paanī se niklā
kisī kī yaad kā kāñTā thā dil meñ
bahut mushkil thā āsānī se niklā
garebāñ chaak āvāra pareshāñ
junūñ sahrā kī vīrānī se niklā
vo jis kā muntazir thā sang-e-dar bhī
vo sajda merī peshānī se niklā
chamakte chāñd kā rishta bhī yaaro
ruḳh-e-jānāñ kī tābānī se niklā
jo manzar misra-e-ūlā meñ gum thā
vo manzar misra-e-sānī se niklā
ilāj-e-dard-e-dil 'zīshān' dekhā
junūñ kī chāk-dāmānī se niklā
kahan dariya ki tughyani se nikla
talluq ret ka pani se nikla
kisi ki yaad ka kanTa tha dil mein
bahut mushkil tha aasani se nikla
gareban chaak aawara pareshan
junun sahra ki virani se nikla
wo jis ka muntazir tha sang-e-dar bhi
wo sajda meri peshani se nikla
chamakte chand ka rishta bhi yaro
ruKH-e-jaanan ki tabani se nikla
jo manzar misra-e-ula mein gum tha
wo manzar misra-e-sani se nikla
ilaj-e-dard-e-dil 'zishan' dekha
junun ki chaak-damani se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.