kahan giraft mein ab mah-o-sal ke mausam
kahāñ giraft meñ ab māh-o-sāl ke mausam
bikharte jaate haiñ tere visāl ke mausam
tire javāb ke vaqfe tavīl kitne haiñ
guzarte jaate haiñ mere savāl ke mausam
har ek phuul kalī ko bulā rahā hai qarīb
chaman meñ aa.e haiñ ab ke kamāl ke mausam
maiñ Dūbtī huuñ kināroñ pe aur kahtī huuñ
kabhī na dekhe the aise zavāl ke mausam
tū apnī aañkh meñ tāb-e-bahār lā to sahī
jahān bhar meñ haiñ husn-o-jamāl ke mausam
ki jaise zehn meñ ahd-e-ḳhizāñ utar aayā
bahut hī zard hue haiñ ḳhayāl ke mausam
kahan giraft mein ab mah-o-sal ke mausam
bikharte jate hain tere visal ke mausam
tere jawab ke waqfe tawil kitne hain
guzarte jate hain mere sawal ke mausam
har ek phul kali ko bula raha hai qarib
chaman mein aae hain ab ke kamal ke mausam
main Dubti hun kinaron pe aur kahti hun
kabhi na dekhe the aise zawal ke mausam
tu apni aankh mein tab-e-bahaar la to sahi
jahan bhar mein hain husn-o-jamal ke mausam
ki jaise zehn mein ahd-e-KHizan utar aaya
bahut hi zard hue hain KHayal ke mausam
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 317)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.