kahan hai apni manzil aur kise manzil samajhte hain
kahan hai apni manzil aur kise manzil samajhte hain
Basheeruddin Raaz
MORE BYBasheeruddin Raaz
kahāñ hai apnī manzil aur kise manzil samajhte haiñ
na itnā hosh hai ham ko na ye ai dil samajhte haiñ
mohabbat meñ kise āsāñ kise mushkil samajhte haiñ
na itnī hai samajh ham meñ na ye ai dil samajhte haiñ
shab-e-ġham kī musībat meñ hamāre kaam aatā hai
ḳhayāl-e-yār ko ham mehrbān-e-dil samajhte haiñ
talāsh-e-yār meñ kyoñ dar-ba-dar kī ḳhaak ham chhāneñ
ham apne ḳhāna-e-dil ko tirī manzil samajhte haiñ
tumhāre husn-e-dilkash par miTe jaate haiñ dīvāne
na jaañ ko jaañ samajhte haiñ na dil ko dil samajhte haiñ
kuchh aisī raushnī hotī hai un kī shām-e-furqat meñ
ham apne dil ke dāġhoñ ko mah-e-kāmil samajhte haiñ
kahan hai apni manzil aur kise manzil samajhte hain
na itna hosh hai hum ko na ye ai dil samajhte hain
mohabbat mein kise aasan kise mushkil samajhte hain
na itni hai samajh hum mein na ye ai dil samajhte hain
shab-e-gham ki musibat mein hamare kaam aata hai
KHayal-e-yar ko hum mehrban-e-dil samajhte hain
talash-e-yar mein kyon dar-ba-dar ki KHak hum chhanen
hum apne KHana-e-dil ko teri manzil samajhte hain
tumhaare husn-e-dilkash par miTe jate hain diwane
na jaan ko jaan samajhte hain na dil ko dil samajhte hain
kuchh aisi raushni hoti hai un ki sham-e-furqat mein
hum apne dil ke daghon ko mah-e-kaamil samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.