kahan hai jeb aur daman kahan hai
kahāñ hai jeb aur dāman kahāñ hai
junūñ se pūchh ab kyoñ mehrbāñ hai
yaqīnan aap mujh se kuchh ḳhafā haiñ
zamīñ dushman hai par ham āsmāñ haiñ
jhukī hai ye jabīñ merī jahāñ par
tumhārā hī vo sang-e-āstāñ hai
kashākash hai falak meñ aur zamīñ meñ
udhar bijlī idhar ik āshiyāñ hai
paḌīñ haiñ ashk kī būñdeñ jo ḳhat par
paḌhī jaa.e to paḌh lo dāstāñ hai
kahan hai jeb aur daman kahan hai
junun se puchh ab kyon mehrban hai
yaqinan aap mujh se kuchh KHafa hain
zamin dushman hai par hum aasman hain
jhuki hai ye jabin meri jahan par
tumhaara hi wo sang-e-astan hai
kashakash hai falak mein aur zamin mein
udhar bijli idhar ek aashiyan hai
paDin hain ashk ki bunden jo KHat par
paDhi jae to paDh lo dastan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.