kahan hai shan-e-karimi hisab hota hai
kahan hai shan-e-karimi hisab hota hai
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
kahāñ hai shān-e-karīmī hisāb hotā hai
gunāhgār to ab lā-javāb hotā hai
tirī janāb meñ jo bāryāb hotā hai
sukūñ nasīb use be-hisāb hotā hai
kabhī ḳhalish hai kabhī iztirāb hotā hai
ye dil kā aanā bhī jī kā azaab hotā hai
jo pūchh letā hai arbāb-e-fahm kā bhī mizāj
kitāb-e-zīst meñ aisā bhī baab hotā hai
ye ham se pūchh ise joyā-e-'aish kyā jaane
jahāñ meñ ġham bhī ḳhushī kā javāb hotā hai
dayār-e-husn meñ chashm-e-karam kaheñ jis ko
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā kā ḳhvāb hotā hai
buto ḳhudā to ḳhud aatā hai yaad shām-e-firāq
kabhī jo had se sivā iztirāb hotā hai
shuā-e-mehr se jis ko lagī huī ho lagan
mire liye to vahī āftāb hotā hai
mire mazāq kī duniyā mujhe nahīñ miltī
mirā usuul kahāñ kāmyāb hotā hai
jinheñ ho tāb-e-nazar bahr-e-dīd aa jaa.eñ
hujūm-e-hashr hai vo be-naqāb hotā hai
usī pe ahl-e-nazar kī bhī aañkh paḌtī hai
tirī nigāh meñ jo intiḳhāb hotā hai
rahe jo ziist meñ mahv-e-malāl-e-nākāmī
vo nā-murād kahīñ kāmyāb hotā hai
har ik gunāh pe rahmat hai maujzan us kī
vahāñ karam hī gunah kā javāb hotā hai
ghamanD kis liye is par kare koī 'ḳhushtar'
ye daur-e-zīst ba-rang-e-habāb hotā hai
kahan hai shan-e-karimi hisab hota hai
gunahgar to ab la-jawab hota hai
teri janab mein jo baryab hota hai
sukun nasib use be-hisab hota hai
kabhi KHalish hai kabhi iztirab hota hai
ye dil ka aana bhi ji ka azab hota hai
jo puchh leta hai arbab-e-fahm ka bhi mizaj
kitab-e-zist mein aisa bhi bab hota hai
ye hum se puchh ise joya-e-'aish kya jaane
jahan mein gham bhi KHushi ka jawab hota hai
dayar-e-husn mein chashm-e-karam kahen jis ko
KHayal-o-KHwab ki duniya ka KHwab hota hai
buto KHuda to KHud aata hai yaad sham-e-firaq
kabhi jo had se siwa iztirab hota hai
shua-e-mehr se jis ko lagi hui ho lagan
mere liye to wahi aaftab hota hai
mere mazaq ki duniya mujhe nahin milti
mera usul kahan kaamyab hota hai
jinhen ho tab-e-nazar bahr-e-did aa jaen
hujum-e-hashr hai wo be-naqab hota hai
usi pe ahl-e-nazar ki bhi aankh paDti hai
teri nigah mein jo intiKHab hota hai
rahe jo zist mein mahw-e-malal-e-nakaami
wo na-murad kahin kaamyab hota hai
har ek gunah pe rahmat hai maujzan us ki
wahan karam hi gunah ka jawab hota hai
ghamanD kis liye is par kare koi 'KHushtar'
ye daur-e-zist ba-rang-e-habab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.