kahan hai wo tasalsul raushni ka
kahāñ hai vo tasalsul raushnī kā
yahī me.aar hai kyā dostī kā
koī apnoñ se yuuñ laḌtā nahīñ hai
sabab koī to hogā barhamī kā
yahāñ hāthoñ meñ ab sab ke haiñ patthar
ḳhulāsa hai yahī dīvāngī kā
yaqīnan mas.ala koī to hogā
yahāñ shohrā bahut hai aap hī kā
bahut se tajrabe hote rahe haiñ
kabhī bhī naam mat lo dostī kā
karūñgā zarf kā saudā na 'nashtar'
maiñ jaisā huuñ rahūñgā aap hī kā
kahan hai wo tasalsul raushni ka
yahi mear hai kya dosti ka
koi apnon se yun laDta nahin hai
sabab koi to hoga barhami ka
yahan hathon mein ab sab ke hain patthar
KHulasa hai yahi diwangi ka
yaqinan masala koi to hoga
yahan shohra bahut hai aap hi ka
bahut se tajrabe hote rahe hain
kabhi bhi nam mat lo dosti ka
karunga zarf ka sauda na 'nashtar'
main jaisa hun rahunga aap hi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.