kahan hain phul kahan par hain Khaar jaane hai
kahāñ haiñ phuul kahāñ par haiñ ḳhaar jaane hai
chaman kā haal chaman kī bahār jaane hai
thake thake se qadam chāhe jo sulūk kareñ
hamārā zauq-e-talab kū-e-yār jaane hai
har ek shai se hai zāhir usī kī jalvagarī
nigāh-e-dair-o-haram kā vaqār jaane hai
mujhe fareb na de husn harf-e-taskīñ se
qarār kyā hai dil-e-be-qarār jaane hai
sharāb-e-nāb se matlab na tishnagī kā gila
zamāna phir bhī hameñ bāda-ḳhvār jaane hai
kisī pe aur ye zālim karam nahīñ kartā
bas ek ham ko ġham-e-rozgār jaane hai
qadam qadam hai musībat se āshnā 'shā.ir'
vatan hai kyā ye ġharīb-ud-dayār jaane hai
kahan hain phul kahan par hain KHar jaane hai
chaman ka haal chaman ki bahaar jaane hai
thake thake se qadam chahe jo suluk karen
hamara zauq-e-talab ku-e-yar jaane hai
har ek shai se hai zahir usi ki jalwagari
nigah-e-dair-o-haram ka waqar jaane hai
mujhe fareb na de husn harf-e-taskin se
qarar kya hai dil-e-be-qarar jaane hai
sharab-e-nab se matlab na tishnagi ka gila
zamana phir bhi hamein baada-KHwar jaane hai
kisi pe aur ye zalim karam nahin karta
bas ek hum ko gham-e-rozgar jaane hai
qadam qadam hai musibat se aashna 'shair'
watan hai kya ye gharib-ud-dayar jaane hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.