kahan hawa ke muKhaalif hain baadban kaho
kahāñ havā ke muḳhālif haiñ bādbān kaho
kahīñ mile haiñ mohabbat ko sā.ebān kaho
na gul kaho na sitāra kaho na jaan kaho
maiñ ek lamha huuñ mujh ko faqat gumān kaho
jo sūrateñ nazar aatī haiñ ḳhvāb-e-hastī meñ
vo asl meñ kabhī hotī haiñ mehrbān kaho
maiñ munfarid to nahīñ huuñ magar tumhārā ġham
palak tak aane na duuñ mujh ko rāzdāñ kaho
vo ek shaḳhs ki jo hāsil-e-mohabbat hai
usī ko vaqt-e-suḳhan hāsil-e-bayān kaho
jo lauh-e-dil pe haiñ mahfūz chand tahrīreñ
unhī hurūf meñ ulfat kī dāstān kaho
hazār tarah to ham log āzmā.e ga.e
ab aur kaun sā rahtā hai imtihān kaho
savād-e-shām meñ shā.ir-mizāj log agar
fasurda-dil nazar aa.eñ to shādmān kaho
'nasīm' sub.h-e-tarab jab chaman meñ tum aao
guloñ kī taaza mahak ko ḳhudā kī shaan kaho
kahan hawa ke muKHalif hain baadban kaho
kahin mile hain mohabbat ko saeban kaho
na gul kaho na sitara kaho na jaan kaho
main ek lamha hun mujh ko faqat guman kaho
jo suraten nazar aati hain KHwab-e-hasti mein
wo asl mein kabhi hoti hain mehrban kaho
main munfarid to nahin hun magar tumhaara gham
palak tak aane na dun mujh ko raazdan kaho
wo ek shaKHs ki jo hasil-e-mohabbat hai
usi ko waqt-e-suKHan hasil-e-bayan kaho
jo lauh-e-dil pe hain mahfuz chand tahriren
unhi huruf mein ulfat ki dastan kaho
hazar tarah to hum log aazmae gae
ab aur kaun sa rahta hai imtihan kaho
sawad-e-sham mein shair-mizaj log agar
fasurda-dil nazar aaen to shadman kaho
'nasim' subh-e-tarab jab chaman mein tum aao
gulon ki taza mahak ko KHuda ki shan kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.