kahan hoga kidhar hoga dil-e-nakaam kya hoga
kahāñ hogā kidhar hogā dil-e-nākām kyā hogā
ḳhudā jaane mohabbat meñ tirā anjām kyā hogā
tab.a āzād paidā kar dil-e-be-ḳhauf paidā kar
jise Dar mohtasib kā ho vo mai-āshām kyā hogā
nayā dīvāna huuñ mujh ko na.ī zanjīr se bāñdho
purānā intishār-e-zulf merā daam kyā hogā
pilānā hī agar maqsūd hai bhar bhar pilātā jā
hamārī pyaas ke aage ye ḳhālī jaam kyā hogā
saf-e-āḳhir meñ bhī labrez paimāna milā ham ko
karam saaqī kā is se aur baḌh kar aam kyā hogā
badal jaa.e jo sub.h-e-vasl se shām-e-judā.ī to
tumheñ nuqsān āḳhir gardish-e-ayyām kyā hogā
tumheñ kyoñ fikr hai yaaro taḌapne do taḌapne do
taḌapne kā maiñ aadī huuñ mujhe ārām kyā hogā
'jalāl'-e-be-navā zauq-e-suḳhan-goī na gar badlā
to phir in be-maza sheroñ se terā naam kyā hogā
kahan hoga kidhar hoga dil-e-nakaam kya hoga
KHuda jaane mohabbat mein tera anjam kya hoga
taba aazad paida kar dil-e-be-KHauf paida kar
jise Dar mohtasib ka ho wo mai-asham kya hoga
naya diwana hun mujh ko nai zanjir se bandho
purana intishaar-e-zulf mera dam kya hoga
pilana hi agar maqsud hai bhar bhar pilata ja
hamari pyas ke aage ye KHali jam kya hoga
saf-e-aKHir mein bhi labrez paimana mila hum ko
karam saqi ka is se aur baDh kar aam kya hoga
badal jae jo subh-e-wasl se sham-e-judai to
tumhein nuqsan aaKHir gardish-e-ayyam kya hoga
tumhein kyon fikr hai yaro taDapne do taDapne do
taDapne ka main aadi hun mujhe aaram kya hoga
'jalal'-e-be-nawa zauq-e-suKHan-goi na gar badla
to phir in be-maza sheron se tera nam kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.