kahan jae teri yaadon ki barish ki ghaDi hai
kahāñ jaa.e tirī yādoñ kī bārish kī ghaḌī hai
udāsī shaam ban kar dil ke āñgan meñ khaḌī hai
ta.ajjub hai abhī se kaise himmat haar baiThe
akelī shaam hai aur raat bhī puurī paḌī hai
nikal jā.ūñgā ik din terī yādoñ ke sahar se
agarche jāntā huuñ āzmā.ish ye kaḌī hai
bichhaḌ jaane kī ik begāna-o-be-mehr saa.at
kisī ḳhanjar kī sūrat aaj bhī dil meñ gaḌī hai
sunī hai dāstān-e-ummat-e-marhūm ham ne
bikharte motiyoñ kī aaj ik TuuTī laḌī hai
aqīdat meñ haqīqat kā sunahrī rang bharne
har ik firqe ne koī dāstāñ apnī gaḌhī hai
bhulā denā 'hidāyat' is qadar mushkil na hotā
kisī kī yaad lekin baat par apnī aḌī hai
kahan jae teri yaadon ki barish ki ghaDi hai
udasi sham ban kar dil ke aangan mein khaDi hai
tajjub hai abhi se kaise himmat haar baiThe
akeli sham hai aur raat bhi puri paDi hai
nikal jaunga ek din teri yaadon ke sahar se
agarche jaanta hun aazmaish ye kaDi hai
bichhaD jaane ki ek begana-o-be-mehr saat
kisi KHanjar ki surat aaj bhi dil mein gaDi hai
suni hai dastan-e-ummat-e-marhum hum ne
bikharte motiyon ki aaj ek TuTi laDi hai
aqidat mein haqiqat ka sunahri rang bharne
har ek firqe ne koi dastan apni gaDhi hai
bhula dena 'hidayat' is qadar mushkil na hota
kisi ki yaad lekin baat par apni aDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.